Wednesday, January 2, 2008

Dard apana likh na paaye...

Dard apana likh na paaye ungaliyaan jalati rahin
rasmo ke pehre mein dil ki chithiyaan jalati rahin
jindagi ki mehfilein sajati rahin har pal magar
mere kamare mein meri tanhaayiyaan jalati rahin
baarishon ke din gujaare garmiyaan bhi kat gayi
puchh mat hamase ki kaise sardiyaan jalati rahi
tum toh baadal the hame tumse badi ummid thi
udd gaye bin barase tum bhi bastiyaan jalati rahi
dard apana likh na paaye ungaliyaan jalati rahin
rasmo ke pehre mein dil ki chithiyaan jalati rahin
dard apana likh na paaye ungaliyaan jalati rahin

.....

Jabse qareeb ho ke chale, zindagi se ham
Khud apne aaine ko lage ajnabi se ham
Aankho ke deke roshni, gul kar diye charaag
Tang aa chuke hain waqt ki is dillagi se ham

Woh kaun hai jo paas bhi hai aur door bhi
Har lamha maangte hain kisi ko kisise bhi

Ehsaas ye bhi kam nahin jeene ke waaste
Har dard jee rahe hain tumhaari khushi se ham

Kuch door chalke raaste sab ek se lage
Mil-ne gaye kisi se mil-aaye kisi se ham

Kis mod par hayaat ne pahoncha diya hamein
Naaraaz hai ghamon se na khush hai khushi se ham...
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
bas gayi hain mere ehsaas main ye kaisi mehak
koi khusbu main lagau teri khusbu aaye

usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
muddato baad mere aankh main aansu aaye
maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye